kahaa.N le chale ho bataado musaafir
- Movie: Durgesh Nandini
- Singer(s): Lata Mangeshkar
- Music Director: Hemant Kumar
- Lyricist: Rajinder Krishan
- Actors/Actresses: Beena Roy, Pradeep Kumar and Nalini Jaywant
- Year/Decade: 1956, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
kahaa.N le chale ho bataado musaafir
sitaaro.n se aage ye kaisaa jahaa.N hai
khayaalo.n kii ma.njil ye khvaabo.n kii mahafil
samajh me.n nA aaye ye duniyaa kahaa.N hai
kahaa.N rah gaye qaafile.n baadalo.n ke
zamiin chhup gayii hai tale baadalo.n ke
hai mujhako yaqii.n ke hai jannat vahii.n
ye ajab sI fizaa hai, ajab ye samaa hai
kahaa.N le chale ho
nazar kii duA kA javaab aa rahaa hai
merI aarazuu pe shabaab aa rahaa hai
ye khAmoshiyaa.n bhI hai.n ik daastaa.n
koI kahatA hai mujhase mohabbat javaa.n hai
kahaa.N le chale ho
muhabbat bharii is jahaa.N kii hai.n raahe.n
jinhe.n dekhakar kho gayii hai.n nigaahe.n
ye halakii havaa laayii kaisaa nashaa, na
rahaa hosh itana meraa dil kahaa.N hai
kahaa.N le chale ho
Comments/Credits:
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu) % Credits: Neha Desai