Browse songs by

kahaa.N ho tum, zaraa aavaaz do, ham yaad karate hai.n

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

kahaa.N ho tum, zaraa aavaaz do, ham yaad karate hai.n
kabhii bharate hai.n aahe.n aur kabhii fariyaad karate hai.n
kahaa.N ho tum ...

judaa bulabul hai apane phuul se aur ro ke kahatii hai
saarii duniyaa diyaa vo zulm ho sayyaad karate hai.n
kahaa.N ho tum ...

jahaa.N hai.n aur ab jis haal me.n hai.n, ham tumhaare hai.n
tumhii aabaad ho dil me.n, tumhii ko yaad karate hai.n
kahaa.N ho tum ...

hamaarii bebasii ye hai ki ham kuchh kah nahii.n sakate
vafaa badanaam hotii hai agar fariyaad karate hai.n
kahaa.N ho tum ...

tere kadamo.n me.n rahane kii tamannaa dil me.n rakhate hai.n
judaa duniyaa ne hamako kar diyaa fariyaad karate hai.n
kahaa.N ho tum ...

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Rajiv Shridhar
% Date: Sun Oct 22, 1995
% Credits: Namrata Ojha
% Editor: Rajiv Shridhar
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image