kahaa.N hai kahaa.N hai kanhayyaa
- Movie: Kanhaiyya
- Singer(s): Lata Mangeshkar
- Music Director: Shankar, Jaikishan
- Lyricist: Hasrat Jaipuri
- Actors/Actresses: Nutan, Raj Kapoor, Om Prakash
- Year/Decade: 1959, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
kahaa.N hai kahaa.N hai kanhaiyaa -2
samajhe na pyaar meraa -2
miiThii-miiThii baa.Nsurii se chhiin le qaraar meraa -2
kahaa.N hai kahaa.N ...
o mohe ratiyaa.N jagaa_e vo merii ni.ndiyaa churaa_e
Dhuu.NDhuu.N mai.n shaam-savere vo mohe milane na paa_e
kahaa.N hai kahaa.N ...
mai.n unakii bholii pujaaran huu.N paagal unake kaaran
do nainaa laage pi_uu se banii mai.n pyaar kii jogan -2
kahaa.N hai kahaa.N ...
mai.n jiivan aise guzaaruu.N ki baiThii pa.nth nihaaruu.N
mai.n unake saa.Ns kii saragam teraa hii naam pukaaruu.N
kahaa.N hai kahaa.N ...
Comments/Credits:
% Credits: Ashok Dhareshwar