Browse songs by

kabhii nekii bhii usake jii me.n gar aa jaaye hai mujhase - - Ghulam Ali

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

kabhii nekii bhii usake jii me.n gar aa jaaye hai mujhase
jafaaye.n kar ke apanii yaad sharmaa jaaye hai mujhase

udhar wo badaGumaanii hai idhar wo naatawaanii hai
na puuchhaa jaaye hai unase na bolaa jaaye hai mujhase

sambhalane de zaraa ai naaummiidii kyaa qayaamat hai
ke daamaan-e-Kayaal-e-yaar chhuuTaa jaaye hai mujhase

qayaamat hai ki hoye mudda_ii kaa hamasafar 'Gaalib'
wo qaafir jo Kudaa ko bhii na sau.Npaa jaaye hai mujhase

% ---

Kudaayaa jazbaa-e-dil kii magar taasiir ulTii hai
ki jitanaa khii.Nchataa huu.N aur khi.Nchataa jaa_e hai mujhase

wo bad-Kuu.N aur merii daastaan-e-ishq tuulaanii
ibaarat muKtasar kaasid bhii ghabaraa jaaye hai mujhase

taqalluf barataraf naaraazagii me.n bhii sahii lekin
wo dekhaa jaaye, kab ye zulm dekhaa jaaye hai mujhase

huye hai.n paa.Nv hii pahale nabard-e-ishq me.n zaKmii
na bhaagaa jaaye hai mujhase na Thaharaa jaaye hai mujhase

Comments/Credits:

			 % Song Courtesy: http://www.indianscreen.com
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image