Browse songs by

kabhii kaalii ratiyaa ... o beTaa jii, kismat kii havaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

kabhii kaalii ratiyaa, kabhii din suhaane
kismat kii baate to kismat hii jaane

o beTaa jii,
are o baabuu jii, kismat kii hava kabhii naram, kabhii garam
kabhii naram-naram, kabhii garam-garam,
kabhii naram-garam naram-garam re
o beTaa jii

ba.De aka.D se beTaa nikale ghar se #actor# hone
vaah rii kismat, vaah rii kismat, kismat me.n the likhe baratan dhone
are bha_ii likhe baratan dhone
o beTaa jii, jiine kaa mazaa kabhii naram, kabhii garam ...

duniyaa ke is chi.Diyaa ghar me.n tarah tarah kaa jalavaa
mile kisii ko suukhii roTii, kisii ko puurii halavaa
are bha_ii kisii ko puurii halavaa
o beTaa jii, khicha.Dii kaa mazaa kabhii naram, kabhii garam ...

dard diyaa to tho.Daa tho.Daa, khushii bhii tho.Dii tho.Dii
vaah re maalik, vaah re maalik, duHkh aur sukh kii khuub banaayii jo.Dii
are vaah khuub banaayii jo.Dii
o beTaa jii, jiivan kaa nashaa kabhii naram, kabhii garam ...

Comments/Credits:

			 % Transliterator: K Vijay Kumar
% Credits: Hrishi Dixit
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image