kaare baadar ... aaj ko_ii gaaye re malhaar
- Movie: Gopinath
- Singer(s): Neenu Majumdar
- Music Director: Neenu Majumdar
- Lyricist:
- Actors/Actresses: Raj Kapoor, Trapti Mishra, Latika, Nand Kishore
- Year/Decade: 1948, 1940s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
aa.a
kaare baadar baras-baras thak jaaye.n baar-baar
re birahan ke dwaare
aaj ko_ii gaaye re malhaar -2
re birahan ke dwaare
aaj ko_ii gaaye re malhaar
nadiyaa chalii milan saagar se -2
iThalaatii balakhaatii
jhuum jhuum laharo.n ke saazo.n pe madamaatii gaatii
magar kisii kii aaj jawaanii -2
jalatii dhuu.Nvaadhaar
re birahan ke dwaare
aaj ko_ii gaaye re malhaar -2
aasamaan me.n bairii cha.ndaa taaro.n sa.ng muskaaye
meraa man aa.Ngan hai suunaa saajan ke bin haay
aa.Nho.n ke khaare paanii me.n -2
bahe kisii kaa pyaar
re birahan ke dwaare
aaj ko_ii gaaye re malhaar -2