Browse songs by

kaa.NTo.n pe chal ke ... kahii.n se maut ko laa_o

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

kaa.NTo.n pe chal ke paa.Nv ke chhaalo.n se kyaa gilaa
maa.Ngii thii khud hii raat ujaalo.n se kyaa gilaa

kahii.n se maut ko laa_o ke Gam kii raat kaTe
meraa hii sog manaa_o ke Gam kii raat kaTe
kahii.n se maut ko ...

kare na piichhaa meraa zindagii ko samajhaa do -2
ye raah usako bhulaa do ke Gam kii raat kaTe
kahii.n se maut ko ...

kaho bahaaro.n se ab shaaK-e-dil na hogii harii -2
Kizaa.n ke giit sunaa_o ke Gam kii raat kaTe
kahii.n se maut ko ...

na chaaraagar kii zaruurat na kuchh davaa kii hai
du_aa ko haath uThaa_o ke Gam kii raat kaTe
kahii.n se maut ko ...

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image