Browse songs by

Kaamosh hai khevanahaar meraa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

Kaamosh hai khevanahaar meraa,
naiyyaa merii Duubii jaatii hai

Kaamosh hai khevanahaar meraa, naiyyaa merii Duubii jaatii hai
zi.ndaa huu.N magar ab jiine kii ummiid bhii TuuTii jaatii hai

saahil kii tamannaa thii mujh ko, ma.njhadhaar me.n be.Daa jaa pahu.Nchaa
jiine kii duvaa_e.N kyaa maa.Nguu, paanii to gale tak aa pahu.Nchaa
dil Dhuu.NDh rahaa hai duniyaa ko, duniyaa hai kii chhuuTii jaatii hai
naiyyaa merii Duubii jaatii hai, Kaamosh hai khevanahaar meraa

Gam apanaa zabaa.N tak laa na sakuu.N sa.nsaar ko mu.Nh dikhalaa na sakuu.N
ghuTataa hai jo dam, rukate hai.n qadam,
baDhate hai.n qadam, rukate hai.n qadam,
ghuTataa hai jo dam, rukate hai.n qadam, ma.nzil kii taraf bhii jaa na
sakuu.N
bhaTakaa hu_aa raahii jaan ke ab taqadiir bhii ruuThii jaatii hai
naiyyaa merii Duubii jaatii hai, Kaamosh hai khevanahaar meraa

charano.n me.n hai tere laaj merii, sun aaj zaraa fariyaad merii
tuu duur nahii.n, majabuur nahii.n, nagarii hai magar barabaad merii
kyaa yuu.N hii gariibo.n kii duniyaa sa.nsaar me.n luuTii jaatii hai
naiyyaa merii Duubii jaatii hai, Kaamosh hai khevanahaar meraa

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Nimish Pachapurkar
% Date: Dec 1, 2002
% Comments: LATAnjali Series
% generated using giitaayan
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image