Browse songs by

jiye.n to jiye.n kaise, bin aapake

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

% Kumar Sanu (1st stanza)
% Anuradha Paudwal (2nd stanza)
% S.P. Balasubramaniam (3rd stanza)
% Pankaj Udhas has a separate version of the 1st stanza.

jiye.n to jiye.n kaise, bin aapake - 2
lagataa nahii.n dil kahii.n, bin aapake - 2

(kaise kahuu.N, binaa tere,
zi.ndagii ye kyaa hogii, ) - 2
jaise koii sazaa, koii bad-duaa hogii - 2
maine kiyaa hai, ye faisalaa,
jiinaa nahii.n hai, tere binaa
jiye.n to jiye.n kaise, bin aapake - 2

(mujhe koii, dede zahar,
ha.Nsake mai.n pii luu.ngii ) - 2
hara darda sah luu.ngii, har haal mai.n jii luu.ngii - 2
dard-e-judaaii sah naa sakuu.ngii,
tere binaa mai.n rah naa sakuu.ngii,
jiye.n to jiye.n kaise, bin aapake - 2

dekh ke vo, mujhe teraa palake.n jhukaa denaa - 2
yaad bahut aae, teraa muskuraa denaa - 2
kaise bhulaauu.n, vo saarii baate.n,
vo miiThii raate.n, vo mulaakaate.n
jiye.n to jiye.n kaise, bin aapake - 2
lagataa nahii.n hai dil kahii.n, bin aapake

Comments/Credits:

			 % Credits: Parimal R. Zaveri (parimal@cadence.com)
%          Kannan Muthukaruppan (mkannan@plane.cs.berkeley.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image