jinhe.n thaa hamase kabhii pyaar zi.ndagii kii tarah
- Movie: Dil Churaya Apane
- Singer(s): Alka Yagnik, Suresh Wadkar
- Music Director: Suresh Wadkar
- Lyricist:
- Actors/Actresses:
- Year/Decade: unknown
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image
jinhe.n thaa hamase kabhii pyaar zi.ndagii kii tarah
vo aaj pahaluu me.n baiThe hai.n ajanabii kii tarah
jinhe.n thaa hamase ...
nazar nazar me.n hame.n chhuuke muskaraate hai.n
kariib aate nahii.n naa hame.n bulaate hai.n
guzar rahaa hai har ik lamhaa ik sadii kii tarah
jinhe.n thaa hamase ...
vo hamasaayaa kyaa hu_e jo safar me.n chho.D ga_e
binaa kasuur mohabbat ke rishte to.D ga_e
lagaayaa dil bhii unho.nne to dillagii kii tarah
jinhe.n thaa hamase ...