jhanak jhanak torii baaje paayaliyaa
- Movie: Mere Huzoor
- Singer(s): Manna De
- Music Director: Shankar, Jaikishan
- Lyricist: Hasrat Jaipuri
- Actors/Actresses: Mala Sinha, Jeetendra, Raj Kumar
- Year/Decade: 1968, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
jhanak jhanak torii baaje paayaliyaa
priit ke giit sunaaye paayaliyaa
ra.ng mahal aur rain suhaanii
chham chham naache mast javaanii
mai.n laharo.n me.n khoyaa jaa_uu.N
aisii dhuum machaaye paayaliyaa
ye kajaraarii cha.nchal a.nkhiyaa.N
ho.nTh gulaabii phuul kii patiyaa.N
laT bikhare to gaal pe Thahare
hosh jiyaa ke u.Daaye paayaliyaa
i.ndradhanush saa loch kamariyaa
bri.ndaaban kii jaise gujariyaa
baa.Nvarii ras pe kar de jaaduu
aag me.n aag lagaaye paayaliyaa
Comments/Credits:
% Tansliterator:Indu Shukla % Date:4/6/2000 % Credits: Neha Desai % Comments: Raag Darbari Kanada