Browse songs by

jalane ke siwaa aur kyaa hai yahaa.N

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

jalane ke siwaa aur kyaa hai yahaa.N
chaahe dil ho kisii kaa yaa ho diyaa
yaa ho diyaa
jalane ke siwaa aur kyaa hai yahaa.N

har raat diyaa jal-jal ke bujhe -2
dil roz pukaare piyaa-piyaa
piyaa-piyaa
jalane ke siwaa aur kyaa hai yahaa.N

bachapan se tumhii.n se priit lagii
ab alag jawaanii biit rahii
jab paas the tumako pyaar kiyaa -2
ab duur huye to tarase jiyaa -2
jalane ke siwaa aur kyaa hai yahaa.N

hai rain ghirii par chain nahii.n -2
ye man hai kahii.n aur nain kahii.n -2
jabase tum bichha.D gaye hamane -2
phaagun me.n machalanaa chho.D diyaa
jalane ke siwaa aur kyaa hai yahaa.N

Comments/Credits:

			 % Song courtesy: http://www.indianscreen.com (Late Shri Amarjit Singh)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image