Browse songs by

jaanewaale zaraa duniyaa kaa chalan dekhataa jaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

( jaanewaale
jaanewaale zaraa duniyaa kaa chalan dekhataa jaa ) -2
ek nazar apane binaa haal-e-chaman dekhataa jaa
jaanewaale

ye mohabbat kaa taqaazaa thaa hu_aa tuu jo shahiid
kyuu.N na Kush huu.N ke merii purii hu_ii aaj ummiid
jaan to ha.Ns ke liye jaan ko khone waale -2
dekh majabuur kha.De hai.n tere rone waale
dete du_aa tak bhii nahii.n ahal-e-watan dekhataa jaa
jaanewaale

muskaraataa hu_aa kis shaan se aayaa hai tuu
gayaa to wo Kushii kaa ko_ii laayaa hai tuu
jaanisaarii me.n terii duulhaa banaayaa hai tuu
mujhako rulaa gayaa jo Kuu.N me.n nahaayaa hai tuu
dete hai.n ham tujhe ra.ngiin qafan dekhataa jaa
jaanewaale -2

Comments/Credits:

			 % Song courtesy: http://www.indianscreen.com (Late Shri Amarjit Singh)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image