Browse songs by

jaanaa to jaanaa.n bas ye jaanaa pyaar diivaanaa hotaa hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

jaanaa to jaanaa.n bas ye jaanaa pyaar diivaanaa hotaa hai
kar detaa hai dil ko diivaanaa pyaar diivaanaa hotaa hai
jaanaa to jaanaa.n bas ye ...

( mere dil me.n terii dha.Dakan pyaar teraa nas nas me.n
tujh bin zindaa rahanaa jaanam ab to nahii.n hai bas me.n ) -2
ai duniyaa kuchh naa samajhaanaa pyaar diivaanaa hotaa hai
kar detaa hai dil ko ...

( yuu.N to jalatii har ik shai se duur hii rahanaa achchhaa
lekin shamaa ke jalane me.n jaane asar hai kaisaa ) -2
ha.Ns kar jal jaa_e paravaanaa pyaar diivaanaa hotaa hai
kar detaa hai dil ko ...

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image