is bharii duniyaa me.n, koii bhii hamaaraa na huaa
- Movie: Bharosa
- Singer(s): Mohammad Rafi
- Music Director: Ravi
- Lyricist: Rajinder Krishan
- Actors/Actresses: Guru Dutt, Asha Parekh, Mehmood, Shubha Khote
- Year/Decade: 1963, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,

is bharii duniyaa me.n, koii bhii hamaaraa na huaa
gair to gair hai.n, apano.n kaa sahaaraa na huaa
log ro-ro ke bhii is duniyaa me.n jii lete hai.n
ek ham hai.n kii ha.nse bhii to guzaaraa na huaa
ik muhabbat ke sivaa aur na kuchh maa.Ngaa thaa
kyaa kare.n ye bhii zamaane ko ga.nvaaraa na huaa
aasamaan jitane sitaare hai.n terii mahafil me.n
apanii taqadiir kaa hii koii sitaaraa na huaa
Comments/Credits:
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
