i.nsaaf kii Dagar pe, bachcho dikhaao chal ke
- Movie: Ganga Jamuna
- Singer(s): Hemant Kumar
- Music Director: Naushad
- Lyricist: Shakeel Badayuni
- Actors/Actresses: Dilip Kumar, Vyjayantimala
- Year/Decade: 1961, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,

insaaf kii Dagar pe, bachcho.n dikhaao chal ke
ye desh hai tumhaaraa, netaa tumhii.n ho kal ke
duniyaa ke ra.nj sahanaa aur kuchh na mu.Nh se kahanaa
sachchaaiyo.n ke bal pe aage ko ba.Dhate rahanaa
rakh doge ek din tum sa.nsaar ko badal ke
insaaf kii ...
apane ho.n yaa paraae sabake liye ho nyaay
dekho kadam tumhaaraa haragiz na Dagamagaae
raste ba.De kaThin hai.n chalanaa sambhal-sambhal ke
insaaf kii ...
insaaniyat ke sar par izzat kaa taaj rakhanaa
tan man bhii bhe.nT dekar bhaarat kii laaj rakhanaa
jiivan nayaa milegaa a.ntim chitaa me.n jal ke,
insaaf kii ...
Comments/Credits:
% Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
