Browse songs by

in havaao.n me.n ... tujhako meraa pyaar pukaare

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

% (1st 2 stanzas only)
in havaao.n me.n, in fizaao.n me.n tujhako meraa pyaar pukaare
aajaa aajaa re, tujhako meraa pyaar pukaare

ruk nA paauu.n mai.n, khichatii aauu.n mai.n, dil ko jab diladaar pukaare
aajaa aajaa re tujhako meraa pukaare

tujhase ra.ngat, tujhase mastii in jharano me.n, in phuulo.n me.n
tere dam se merI hastii jhuule chaahat ke jhuulo.n me.n
machalii jaaye.n shokh uma.nge, do baaho.n kA haar pukaare
aajaa aajaa re

dil me.n tere dil kii dha.Dakan, aa.Nkh me.n terI aa.Nkh kA jaadu
lab par tere lab ke sa.ng, saa.Ns me.n terI saa.Ns kii khushabuu
zulfo.n kA har pe.nch bulaaye, A.Nchal kA har taar pukaare
aajaa aajaa re, tujhako meraa pyaar pukaare

% Although the mood shifts, I find the "sad" version just a tad nicer...
% (1st 2 stanzas again) !<
in havaao.n me.n, in fizaao.n me.n tujhako meraa pyaar pukaare
aajaa aajaa re, tujhako meraa pyaar pukaare

ruk nA pAuu.n mai.n, khi.nchatI aauu.n mai.n
dil ko jab diladaar pukaare

lauT rahii hai.n merI sadAye.n diivaro.n se sar Takaraa ke
haath paka.D kar chalane vaale ho gaye ruKasat haath chhu.Daake
unako kuchh bhI yaad nahii.n hai, ab koI sau baar pukaare

ilm nahii.n thA itanI jal{}dii khatam fasaane ho jaaye.nge
tum begaane ban jaaoge, ham diivaane ho jaaye.nge
kal baaho.n kA haar milaa thA, aaj ashko.n kA haar pukaare
aajaa aajaa re, tujhako meraa pyaar pukaare

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image