Browse songs by

ik lafz\-e\-muhabbat kaa itanaa saa fasaanaa hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ik lafz-e-muhabbat kaa adanaa saa fasaanaa hai
simaTe to dil-e-aashiq, faile to zamaanaa hai

ham ishq ke maaro.n kaa itanaa hii fasaana hai
rone ko nahii.n koii ha.Nsane ko zamaanaa hai

ye ishq nahii.n aasaa.N, bas itanaa samajh liije
ek aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai

vo husn-o-jamaal un kaa, ye ishq-o-shabaab apanaa
jiine kii tamannaa hai, marane kaa zamaanaa hai

ashqo.n ke tabassum me.n, aaho.n ke tarannum me.n
maasuum muhabbat kaa maasuum fasaanaa hai

kyaa husn ne samajhaa hai, kyaa ishq ne jaanaa hai
ham Kaak-nashiino.n kii, Thokar me.n zamaanaa hai

yaa vo the Kafaa ham se yaa ham the Kafaa un se
kal un kaa zamaanaa thaa, aaj apanaa zamaanaa hai

aa.Nsuu to bahut se hai.N aa.Nkho.n me.n 'eks' lekin
bah jaaye.n to miitaa hai.n, rah jaaye.n to daanaa hai

hai ishq-e-junoon peshaa, haa.N ishq-e-junoon pesha
ek sitamagar ko aaj, ha.Ns ha.Ns ke rulaana hai

Comments/Credits:

			 % Transliterator: David Anthony Windsor
% Comments : The first, third and sixth (and seventh?) of the shers were in 
%            the movie version, I think - David.
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image