ik din kahii.n ham do mile.n ... kabhii mai.n kahuu.n
- Movie: Aur Pyaar Ho Gayaa
- Singer(s): Roop Kumar Rathod
- Music Director: Nusrat Fateh Ali Khan
- Lyricist: Javed Akhtar
- Actors/Actresses: Shammi Kapoor, Shammi Kapoor, Anupam, Bobby Deol, Aishwarya Rai, Priya Tendulkar
- Year/Decade: 1997, 1990s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,

( ik din kahii.n ham do mile.n aur tiisaraa ko_ii na ho
baiThe rahe.n kho_e rahe.n kuchh mai.n kahuu.n kuchh tum kaho ) -2
kabhii mai.n kahuu.n zaraa sun to lo
kabhii tum kaho ab kah bhii do
kabhii mai.n kahuu.n tumhe.n naazanii.n
kabhii tum kaho mujhe hamanashii.n
kabhii mai.n kahuu.n suno mahazabii.n
nahii.n tum bin mujhako chain kahii.n
phir tum kaho ki tumhe.n hai yaqii.n
phir mai.n kahuu.n ki mujhe pyaar hai tumase
ik din kahii.n ham do mile.n aur tiisaraa ko_ii na ho -2
baiThe rahe.n kho_e rahe.n kuchh mai.n kahuu.n kuchh tum kaho
kabhii mai.n kahuu.n ... mujhe pyaar hai tumase
ik din kahii.n ham do mile.n aur tiisaraa ko_ii na ho
( mausam kii baat raaho.n kii baat ma.nzil kii baat ho
phuulo.n kii baat Kaabo.n kii baat phir dil kii baat ho ) -2
mahakii sii ho.n tanhaa_iyaa.N aane lage.n a.nga.Daa_iyaa.N
dha.Dake ye dil kaa.npe nazar tumako kabhii chhuu luu.n agar
mai.n ye kahuu.n kahataa rahuu.n mujhe tum bin ab jiinaa hii nahii.n
phir tum kaho tumhe.n hai yaqii.n
phir mai.n kahuu.n ki mujhe pyaar hai tumase
ik din kahii.n ham do mile.n aur tiisaraa ko_ii na ho
( cha.nchal havaa_e.n aa.nchal u.Daa_e.n lekin mai.n thaam luu.n
samajho ishaaraa jab mai.n tumhaaraa ko_ii bhii naam luu.n ) -2
tumhe.n pyaar me.n kahataa rahuu.n kabhii chaa.Ndanii kabhii raaganii
kabhii tumako mai.n kahuu.n giit ho jiivan kaa tum sa.ngiit ho
merii priit ho manamiit ho tum kaho to de duu.n jaan abhii