ibn\-e\-mariyam huaa kare koii - - Saigal
- Movie:
- Singer(s): K L Saigal
- Music Director:
- Lyricist: Ghalib
- Actors/Actresses:
- Year/Decade: unknown
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
ibn-e-mariyum huaa kare ko_ii
mere duHkh kii davaa kare ko_ii
baat par vaa.N zubaan kaTatii hai
vah kahe.n aur sunaa kare ko_ii
bak rahaa huu.N junuu.N me.n kyaa-kyaa kuchh
kuchh na samajhe khudaa kare ko_ii
na suno gar buraa kahe ko_ii
na kaho gar buraa kare ko_ii
rok lo gar galat kare ko_ii
baKsh do gar khataa kare ko_ii
kaun hai jo nahii.n hai haajatama.nd
are, kaun hai jo nahii.n hai haajatama.nd
kisakii haajat ravaa kare ko_ii
jab tavaqquu hii uTh gaI 'Gaalib'
kyo.n kisii kaa gilaa kare ko_ii
Comments/Credits:
% Transliterator: K Vijay Kumar