Browse songs by

husn haazir hai muhabbat kii sazaa paane ko

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

husn haazir hai muhabbat kii sazaa paane ko
koii patthar se na maare mere diivaane ko

mere diivaane ko itanaa na sataao logo.n
ye to vahashii hai tumhii.n hosh me.n aao logo.n
bahut ra.njuur hai ye, Gamo.n se chuur hai ye
Kudaa kaa Kauf uThaao bahut majabuur hai ye
kyo.n chale aaye ho bebas pe sitam Dhaane ko
koii patthar se na maare ...

mere jalavo.n kii Kataa hai jo ye diivaanaa huaa
mai.n huu.N mujarim ye agar hosh se begaanaa huaa
mujhe suulii cha.Dhaa do yaa sholo.n pe jalaa do
koii shiqavaa nahii.n hai jo jii chaahe sazaa do
baKsh do is ko mai.n taiyaar huu.N miT jaane ko
koii patthar se na maare ...

pattharo.n ko bhii vafaa phuul banaa sakatii hai
ye tamaashaa bhii sar-e-aam dikhaa sakatii hai
lo ab patthar uThaao, zamaane ke Kudaao.n
mai.n tum ko aazamaa_uu.N, mujhe tum aazamaa_o
ab duaa arsh pe jaatii hai asar laane ko
koii patthar se na maare ...

Comments/Credits:

			 % Transliterator: K Vijay Kumar
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image