Browse songs by

hayyaa o ga.ngaa mayyaa ... ga.ngaa mayyaa me.n jab tak ke paanii rahe

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

haiyaa o ga.ngaa maiyaa -2
ga.ngaa maiyaa me.n jab tak ke paanii rahe
mere sajanaa terii zindagaanii rahe, zindagaanii rahe
haiyaa o ga.ngaa maiyaa -2

mere jiiwan ke o re khewaiyaa
tere haatho.n me.n hai merii na_iyaa
duniyaa kuchh bhii kahe, bhale kahatii rahe
merii pujaa terii hii diwaanii rahe, diwaanii rahe

haiyaa o ga.ngaa maiyaa -2
ga.ngaa maiyaa me.n jab tak ke paanii rahe
mere sajanaa terii zindagaanii rahe, zindagaanii rahe

chhipii naarii ke man me.n hai siitaa
jisakaa jiivan a.ngaaro.n pe biitaa
mere jiivan ke raam teraa letii huu.N naam
mere maathe pe terii nishaanii rahe, nishaanii rahe

haiyaa o ga.ngaa maiyaa -2
ga.ngaa maiyaa me.n jab tak ke paanii rahe
mere sajanaa terii zindagaanii rahe, zindagaanii rahe

aage agni ke phere lagaakar
yaad biite dino.n kii jalaakar
aa_ii mai.n tere dvaar liye man kaa sa.nsaar
mere ho.nTho.n pe terii kahaanii rahe, kahaanii rahe

haiyaa o ga.ngaa maiyaa -2
ho ga.ngaa maiyaa me.n jab tak ke paanii rahe
mere sajanaa terii zindagaanii rahe, zindagaanii rahe

Comments/Credits:

			 % Comments: LATAnjali Series 12 Apr 2003
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image