har shai pe jaawaanii hai
- Movie: Majboor
- Singer(s): Geeta Dutt, Lata Mangeshkar
- Music Director: Ghulam Haider
- Lyricist: Nazim Panipati
- Actors/Actresses: Munavvar Sultana, Shyam, Indu, Sohanlal
- Year/Decade: 1948, 1940s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
giitaa:
har shai pe jawaanii hai -2
haay mere ho.nTho.n pe
ho.nTho.n pe
saajan kii kahaanii hai
haay saajan kii kahaanii hai
lataa:
o.a gorii
badanaam na ho jaanaa -2
galii galii guu.Nje naa
guu.Nje naa
tere pyaar kaa afasaanaa
haay tere pyaar kaa afasaanaa
gii:
o.a more saajan aan mile.nge -2
(manavaa kii bagiyaa me.n
phuul khile.nge) -2
in phuulo.n ko khilane do
do dil milate hai.n
haay sajanii
do dilo.n ko milane do
haay do dilo.n ko milane do
do:
merii bagiyaa me.n phuul khile -2
duniyaa ko bhuul gayii
bhuul gayii
jab nain se nain mile
haay jab nain se nain mile
la:
o.a pyaar buraa hai, pyaar na karanaa -2
a.Nkhiyaa.N kisii se chaar na karanaa -2
jise priit kaa rog lage
din ko vo aahe.n bhare
aahe.n bhare
aur saarii raat jage
haay aur saarii raat jage
do:
har shai pe jawaanii hai
haay mere ho.nTho.n pe
ho.nTho.n pe
saajan kii kahaanii hai
haay saajan kii kahaanii hai
Comments/Credits:
% Transliterator: Abhay Phadnis % Date: 29 Sep 2004 % Series: Geetanjali % generated using giitaayan % Song Courtesy: RMIM East Coast Meet CD in 2002