Browse songs by

har dam tumhii.n ko pyaar kiye jaa rahii huu.N mai.n

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

har dam tumhii.n ko pyaar kiye jaa rahii huu.N mai.n
jiinaa nahii.n qubuul jiye jaa rahii huu.N mai.n

har dam tumhii.n ko yaad kiye jaa rahaa huu.N mai.n
milane kii aarazuu me.n jiye jaa rahaa huu.N mai.n

tum mere dil ke paas ho chaahe jahaa.N raho
saa.Nso.n kii lay pe naam liye jaa rahii huu.N mai.n

tumhii.n ko Dhuu.NDhatii hai ye aa.Nsuu bharii nazar
ab har taraf nigaah kiye jaa rahaa huu.N mai.n

dil meraa bolataa hai papiihe ke ruup me.n
pii pii ke ??? jiye jaa rahii huu.N mai.n

Comments/Credits:

			 % Transliterator: K Vijay Kumar
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image