ham unako samajhate hai.n ummiido.n kaa sahaaraa
- Movie: Bikhare Moti
- Singer(s): Lata Mangeshkar
- Music Director: Ghulam Mohammad
- Lyricist: Akhtar-ul-Imaan
- Actors/Actresses: Jivan, Neelam, Kamini Kaushal, Nigar, Jayant, Ranjana, Sherry
- Year/Decade: 1951, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
( ham un ko samajhate hai.n ummiido.n kaa sahaaraa
de-de ko_ii jaa kar unhe.n paiGaam hamaaraa ) -2
bedard hai.n kyaa samajhe.nge wo merii mohabbat -2
aa.Nsuu hai merii aa.Nkh kaa TuuTaa hu_aa taaraa
de-de ko_ii jaa kar unhe.n paiGaam hamaaraa
ham un ko samajhate hai.n ummiido.n kaa sahaaraa
de-de ko_ii jaa kar unhe.n paiGaam hamaaraa
o
( wo aa.Nkh bachaa kar jo mere paas se Guzare
ho
paas se Guzare ) -2
dil ne unhe.n rah-rah ke ka_ii baar pukaaraa
de-de ko_ii jaa kar unhe.n paiGaam hamaaraa
ham un ko samajhate hai.n ummiido.n kaa sahaaraa
de-de ko_ii jaa kar unhe.n paiGaam hamaaraa
o
( yaad aa gayaa aise me.n hame.n milanaa kisii kaa
milanaa kisii kaa ) -2
jaataa thaa kahii.n duur ko_ii dard kaa maaraa
de-de ko_ii jaa kar unhe.n paiGaam hamaaraa
ham un ko samajhate hai.n ummiido.n kaa sahaaraa
de-de ko_ii jaa kar unhe.n paiGaam hamaaraa