Browse songs by

ham hii me.n thii na ko_ii baat yaad na tumako aa sake

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ham hii me.n thii na ko_ii baat yaad na tumako aa sake
tumane hame.n bhulaa diyaa ham naa tumhe.n bhulaa sake

tum bhii na sun sake agar qissaa-e-Gam sunegaa kaun
kisakii zubaa.N khulegii phir ham naa agar sunaa sake

shauq-e-wisaal hai yahaa.N lab pe sawaal hai yahaa.N
kisakii majaal hai yahaa.N hamase nazar milaa sake

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image