Browse songs by

ham Gariibo.n kaa bhii puuraa kabhii aramaa.N kar de

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ham Gariibo.n kaa bhii puuraa kabhii armaa.N kar de
apanii rahamat kaa zaraa ham pe ahasaa.N kar de
ham Gariibo.n kaa bhii puuraa kabhii armaa.N kar de

vo salaamat rahe, phuule phale, paravaan cha.Dhe
un ke haatho.n se merii maut kaa samaa.N kar de
ham Gariibo.n kaa bhii puuraa kabhii armaa.N kar de

maut ko kaam se matalab hai use naam se kyaa
jism us kaa rahe, qurabaan merii jaa.N kar de
ham Gariibo.n kaa bhii puuraa kabhii armaa.N kar de

Comments/Credits:

			 % Transliterator: K Vijay Kumar
% Date: May 20, 2001
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image