ham chhupe rustam hai.n
- Movie: Chhupa Rustom
- Singer(s): Chorus, Manna De
- Music Director: S D Burman
- Lyricist: Neeraj
- Actors/Actresses: Prem Chopra, Dev Anand, Hema Malini, Vijay Anand
- Year/Decade: 1973, 1970s
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image
ham, chhupe rustam hai.n
qayaamat kii nazar rakhate hai.n
zamii.n to kyaa hai
aasmaa.n kii Kabar rakhate hai.n
ham, chhupe rustam hai.n ...
chhup na paae ko_ii tasviir, hamaare aage
TuuT jaatii hai Kud shamashiir hamaare aage
chal na paae ko_ii tadabiir hamaare aage
sar jhukaatii hai har taqadiir hamaare aage
raah kaa.nTo.n me.n banaa lete hai.n
aasmaa.n sar pe uThaa lete hai.n
ham agar taish me.n aae.n to
aag paanii me.n lagaa dete hai.n
hamaare dam se ye zamaanaa hai
sharaab-o-jaam hai, maiKaanaa hai
ham jahaa.N sar ko jhukaa de.n yaaro.n
vahii.n kaabaa, vahii.n butaKaanaa hai
ham inasaa.n hai.n, inasaa.n ke li_e
dar pe sar rakhate hai.n
zamii.n to kyaa hai
aasmaa.n kii Kabar rakhate hai
ham, chhupe rustam hai.n ...
torii nazariyaa gaurii jaise
ras kii nadii laharaae
ek baar jo Duube in me.n
pal-pal gotii khaae
o shamaa ...
pal-pal gotaa khaae
nazar ye tiir bhii, talavaar bhii hai
nazar inakaar bhii, iqaraar bhii hai
nazar ye phuul bhii, Kaar bhii hai
thal bhii, megh bhii, malahaar bhii hai
nazar dil kii zubaan hotii hai
motiyo.n kaa makaan hotii hai
pyaar kaa imtehaan hotii hai
zamii.n par aasmaan hotii hai
nazar uTh jaae to duaa ban jaae
agar jhuk jaae to hayaa ban jaae
jo tirachhii ho to adaa ban jaae
pa.De siidhii to qazaa ban jaae
nazar ko_ii bhii ho ham
sab pe nazar rakhate hai.n
zamii.n to kyaa hai
aasmaa.N kii Kabar rakhate hai.n
ham chhupe rustam hai.n ...
ham terii talaash me.n jaan-e-jahaa.N
jiine kaa kyaa dastuur bane
kabhii kais, kabhii farahaad
kabhii Kaiyyaam, kabhii ma.nsuur bane
kyaa-kyaa na bane ham tere li_e
par, jo bhii bane, bharapuur bane
naTakhaT ham naTavar, tere lie
dar-dar ghuume, ban-ban bhaTake
parabat pe ga_e, suulii pe cha.Dhe
nit khaae muqaddar se jhaTa ke
tere ghuu.NghaT paT kii salavaT me.n
aT-aT ye more nainaa aTake
jhaTapaT de hame.n darasan, ham to
pyaase hai.n, terii kaalii laT ke
o merii aarazuuu aa
o merii justajuu aa
zaraa tuu ruubaruu aa
le hii jaae.Nge, uThaa ke
bharii mahafil se tujhe
churaa le.n aa.Nkh se kaajal
vo hunar rakhate hai.n
ham, chhupe rustam hai.n ...
Comments/Credits:
% Transliterator: David Windsor% Editor: Rajiv Shridhar % Date: 11/02/1996