ham chal rahe the, vo chal rahe the
- Movie: Duniya Na Maane/ The Unexpected
- Singer(s): Lata Mangeshkar, Mukesh
- Music Director: Madan Mohan
- Lyricist: Rajinder Krishan
- Actors/Actresses: Pradeep Kumar, Mala Sinha
- Year/Decade: 1959, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
ham chal rahe the, vo chal rahe the
magar duniyaavaalo.n ke dil jal rahe the
ham chal rahe the, vo chal rahe the
magar duniyaavaalo.n ke dil jal rahe the
ham chal rahe the
vohii hai phizaaye.n vohii hai havaaye.n
magar pyaar ki ab nahii vo adaaye.n
vohii hai phizaaye.n vohii haihavaaye.n
magar pyaar ki ab nahi vo adaaye.n
bulaaye.n ham unako, magar vo na aaye.n
ham chal rahe the, vo chal rahe the
magar duniyaavaalo.n ke dil jal rahe the
ham chal rahe the
unhe.n bhulakar bhii, bhulaa naa sakU.ngaa
jo dil me.n lagii hai bujhaa naa sakU.ngaa
unhe.n bhulakar bhii, bhulaa naa sakU.ngaa
jo dil me.n lagii hai bujhaa naa sakU.ngaa
mai.n sapano.n kii duniyaa sajaa naa sakU.ngaa
ham chal rahe the, vo chal rahe the
magar duniyaavaalo.n ke dil jal rahe the
ham chal rahe the
Comments/Credits:
% Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu), Neha Desai % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)