Browse songs by

ham ba.njaaro.n kii baat mat puuchho jii

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ki: la la
ko: la la
la: aa aa
ham ba.njaaro.n kii baat mat puuchho jii
jo pyaar kiyaa to pyaar kiyaa
jo nafarat kii to nafarat kii
ki: achchhaa ye baat hai to phir aaye.nge -2
ham tere pyaar ko aazamaaye.nge
la: ham ba.njaaro.n kii baat mat puuchho jii
jo pyaar kiyaa to pyaar kiyaa
jo nafarat kii to nafarat kii

ko: la la la
la: ham dil nahii.n dete, ham jaan dete hai.n
ham dil nahii.n lete, ham jaan lete hai.n
ki: ye dushmanii hai
la: tum dostii na samajho
ki: dil kii lagii hai
la: tum dillagii na samajho
dil ke maaro.n kii baat mat puuchho jii -2
jo pyaar kiyaa to pyaar kiyaa
jo nafarat kii to nafarat kii

ki: ye to hai.n ba.njaare, ye tum kaho pyaare
kyaa ho jab ta.Dap ke dil dil ko pukaare
la: sar haath pe rakh ke
ki: saathii puraane aaye.n
la: sab dekhate ho.n
ki: wo yaar ko le jaaye.n
sachche yaaro.n kii baat mat puuchho jii -2
jo pyaar kiyaa to pyaar kiyaa
jo nafarat kii to nafarat kii

ki: tum jo kahate ho ham wo karate hai.n
la: ham jo karate hai.n tum wo kahate ho
kuchh shart rakh lo
ki: maa.Ngo jawaanii de de.n
la: kaafii nahii.n ye
ki: ye zi.ndagaanii de de.n
tum diladaaro.n kii baat mat puuchho jii -2
jo pyaar kiyaa to pyaar kiyaa
jo nafarat kii to nafarat kii
ki: ham ba.njaaro.n kii baat mat puuchho jii
la: ham ba.njaaro.n kii baat mat puuchho jii
ki: jo pyaar kiyaa
la: jo pyaar kiyaa
ki: to pyaar kiyaa
la: to pyaar kiyaa
do: jo nafarat kii to nafarat kii

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image