hairat\-e\-nazzaaraa aaKir ban gaii.n raanaaiyaa.n
- Movie: Kaarwaan-e-Hayaat
- Singer(s): K L Saigal
- Music Director: Mihir Kiran Bhattacharya
- Lyricist: Hakim Ahmad Shuja Pasha
- Actors/Actresses: Rajkumari, Nawab, K L Saigal, Pahadi Sanyal
- Year/Decade: 1935, 1930s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
hairat-e-nazzaaraa aaKir ban gaii.n raanaaiyaa.n
Kaak ke zarro.n me.n aatii hai.n nazar gulzaariyaa.n
jab se dekhaa hai tujhe ik dard hai dil me.n nihaa.n
ai sabaa le jaa tuuhii un tak merii bedaariyaa.n
marhabaa barq-e-jamaal-e-yaar tujh par be-nisaar
marhabaa josh-e-junuun-e-ishq kii rusavaaiyaa.n
alvidaa ai qaafile waale mujhe ab chho.d do
merii qismat me.n likhii hai.n dasht kii viiraaniyaa.n