haay aa ke dard jawaa.N hai
- Movie: Praan Jaaye Par Vachan Na Jaaye
- Singer(s): Asha Bhonsle
- Music Director: O P Nayyar
- Lyricist: Ahmad Warsi
- Actors/Actresses: Sunil Dutt, Rekha, Ranjeet, Bindu
- Year/Decade: 1973, 1970s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
haay
aa ke dard jawaa.N hai -2
sajanaa haay
( raat kaa ishaaraa hai
pyaar ne pukaaraa hai ) -2
baa.Nho.n me.n le-le mujhe
aah
aa ke dard jawaa.N hai -2
aisii badariyaa
pahalii baar chhaa_ii hai
jhuum ke uThii to hai
barasane na paa_ii hai
( merii ye nigaahe.n
Garm baa.Nhe.n
ab na maane.ngii ) -2
aaKir terii saa.Nse.n
mere dil kaa dard jaane.ngii
aa haa
aa ke dard jawaa.N hai -2
nazare.n gulaabii ho.n to
har shai gulaabii hai
merii nazar se dekho
duniyaa sharaabii hai
( dekho mere dil me.n
aaj kaisii
beqaraarii hai ) -2
ghaayal mai.n hiraniyaa
mere dil kaa tuu shikaarii hai
aa haa
aa ke dard jawaa.N hai -2
sajanaa haay
( raat kaa ishaaraa hai
pyaar ne pukaaraa hai ) -2
baa.Nho.n me.n le-le mujhe
aah
aa ke dard jawaa.N hai
haay
aa ke dard jawaa.N hai