Browse songs by

gore haatho.n par na zulm karo

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

oye hoye
gore haatho.n par na zulm karo
haazir hai ye bandaa huqm karo
tumhaarii ka.Nvaarii kalaa_ii ko daaG na lage
gore haatho.n par ...

jaan-e-man in haatho.n me.n to mehandii kaa ra.ng laganaa hai
haay, pyaar kii ra.ngat se teraa naazuk a.ng a.ng sajanaa hai
hai kaun sii aisii majabuurii
jo husn kare ye mazaduurii
tumhaarii ka.Nvaarii kalaa_ii ko ...

mahalo.n kii tum raanii ho, mai.n priit nagar kaa shahazaadaa
baa.NT le.n ham kyo.n na dono, dhan apanaa aadhaa aadhaa
ham kaam kare.n tum, raaj karo
ma.nzuur to haath pe haath dharo
tumhaarii ka.Nvaarii kalaa_ii ko ...

gusse me.n jo ulajhii hai aao to vo laT mai.n sulajhaa duu.N
haay, chhe.De jo zulfe.n terii us shokh havaa ko rukavaa duu.N
dekho na yuu.N aa.Nkhe.n mal-mal ke
pa.D jaaye.nge dhabbe kaajal ke
tumhaarii ka.Nvaarii kalaa_ii ko ...

Comments/Credits:

			 % Transliterator: K Vijay Kumar
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image