Gazab kaa hai din, socho zaraa
- Movie: Qayamat Se Qayamat Tak
- Singer(s): Alka Yagnik, Udit Narayan
- Music Director: Anand, Milind
- Lyricist: Majrooh Sultanpuri
- Actors/Actresses: Amir, Juhi Chawla
- Year/Decade: 1988, 1980s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
Gazab kaa hai din, socho zaraa
ye dIvaanaapan, dekho zaraa
tum ho akele, ham bhii akele
mazaa aa rahaa hai, qasam se, qasam se
dekh lo, hamako kariib se
aaj ham mile hai.n nasiib se
ye pal phir kahaa.N
aur ye ma.njil phir kahaa.N, Gazab ...
kyaa kahuu.N, meraa jo haal hai
raat din, tumhaaraa khayaal hai
phir bhii, jaan-e-jaa.n
mai.n kahaa.N aur tum kahaa.N, Gazab ...
Comments/Credits:
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Credits: Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)