Browse songs by

ek vo bhii diwaalii thii, ek ye bhii diwaalii hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

% Mukesh version

(ek vo bhii diwaalii thii, ek ye bhii diwaalii hai
uja.Daa hu_aa gulashan hai, rotaa hu_aa maalii hai) 2

(baahar to ujaalaa hai magar dil me.n a.Ndheraa
samajho naa ise raat, ye hai Gam kaa saveraa) 2
kyaa diip jalaaye.n ham taqadiir hii kaalii hai
uja.Daa hu_aa gulashan hai, rotaa hu_aa maalii hai

(aise na kabhii diip kisii dil kaa bujhaa ho
mai.n to vo musaafir huu.N jo raste me.n luTaa ho) 2
ai maut tuu hii aa jaa dil teraa sawaalii hai
uja.Daa hu_aa gulashan hai, rotaa hu_aa maalii hai

%sawaalii - ##beggar##

(ek vo bhii diwaalii thii, ek ye bhii diwaalii hai
uja.Daa hu_aa gulashan hai, rotaa hu_aa maalii hai) 2

% Lata version:

( mele hai.n chiraaGo.n ke
ra.ngiin diiwaalii hai
mahakaa hu_aa gulashan hai
ha.Nsataa hu_aa maalii hai ) -2

( is raat ko_ii dekhe
dharatii ke nazaaro.n ko
sharamaate hai.n ye diipak
aakaash ke taaro.n ko ) -2
is raat kaa kyaa kahanaa -2
ye raat niraalii hai

mahakaa hu_aa gulashan hai
ha.Nsataa hu_aa maalii hai

mele hai.n chiraaGo.n ke
ra.ngiin diiwaalii hai
mahakaa hu_aa gulashan hai
ha.Nsataa hu_aa maalii hai

( khaa jaaye nazar dhokhaa
juganuu hai.n yaa phulajha.Diyaa.N
( baaraat hai taaro.n kii
yaa ra.ng bharii la.Diyaa.N )-2
ho.nTho.n pe taraane hai.n -2
bajatii hu_ii taalii hai

mahakaa hu_aa gulashan hai
ha.Nsataa hu_aa maalii hai

mele hai.n chiraaGo.n ke
ra.ngiin diiwaalii hai
mahakaa hu_aa gulashan hai
ha.Nsataa hu_aa maalii hai

Comments/Credits:

			 % Comments: GEETanjali Series
% Date: 25 October 2002
% Contributor: BOL ANAMOL #12081 [V S Rawat] (Lata Version)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image