Browse songs by

ek shahanshaah ne banavaa ke hasii.n taajamahal

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ek shahanshaah ne banavaa ke hasI.n taajamahal
saarii duniyaa ko muhabbat kii nishaanii dii hai
isake saaye me sadaa pyaar ke charche ho.nge
khatm jo ho naa sakegii vo kahaanii dii hai
ek shahanshaah ne banavaake ...

taaj vo shammaa hai ulfat ke sanam khaane kii
jisake paravaano me mufalis bhii zaradaar bhii hai
sa.ng-e-maramar me samaae hue khvaabo.n kii qasam
marahale pyaar ke aasaan bhii dush{}vaar bhii hai.n
dil ko ek josh iraado.n ko javaanii dii hai
ek shahanshaah ne banavaake ...

taaj ik zindaa tasavvur hai kisii shaayar kaa
isaka afasaanaa hakiikat ke sivaa kuchh bhii nahii
isake aagosh me aakar ye gumaa.n hotaa hai
zindagii jaise muhabbat ke sivaa kuchh bhii nahii
taaj ne pyaar kii maujo.n ko ra_vaanii dii hai
ek shahanshaah ne banavaake ...

ye hasI.n raat ye mahakii huii puranUr fazaa
ho ijaazat to ye dil ishq kaa izahaar kare
ishq insaan ko insaan banaa detaa hai
kisakii himmat hai muhabbat se jo inakaar kare
aaj takadIr ne ye raat suhaanii dii hai
ek shahanshaah ne banavaake ...

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image