Browse songs by

ek do tiin chaar paa.Nch chhe saat

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

## Mohini! Mohini! Mohini! Mohini! ## ho ho ho

namaskaar! namaskaar!

kahiye, kyA sune.nge aap?
are pahale ye kahiye, kahaa.N thI.n aap?

mai.n ... mai.n kar rahI thI kisii kA intazaar
kaun hai vo?

jise karatii huu.N pyaar
hai ...

aur, jisase karatii huu.N minnate.n baar baar
kaise?
aise ...

##Ding Dong Ding, Ding Dong Ding Dong Ding Dong, ##
##Ding Dong Dong, Ding Dong ##

(ek do tiin, chaar paa.Nch chhai saat aaTh nau, das gyaarah bArah terah) - 2,
(terA karuu.n, terA karuu.n din gin gin ke i.ntazaar,
aajaa piyaa aaii bahaar ) - 2

chaudah ko terA sandeshaa AyA, pandrah ko aaU.ngaa ye kahalaayaa
chaudah ko aayaa nA pandrah ko tU, ta.Dapaake mujhako tUne kyA paayA
solah ko bhI
solah ko bhI solah kiye the si.ngaar, aajaa piyaa aayii bahaar

(terA karuu.n, terA karuu.n din gin gin ke i.ntazaar, aajaa piyaa aaI bahaar) - 2
(ek do tiin, chaar paa.Nch chhai saat aaTh nau, das gyaarah bArah terah) -2,

satrah ko sa.ng ? TuuT gayii, aTThArah ko ??
ro ro guzaaraa mai.nne saaraa unniis
biis ko dil ke Tuka.De hue biis
phir bhI nahii.n
phir bhI nahii.n dil se gayaa terA pyaar, aajaa piyaa aayii bahaar

(terA karuu.n, terA karuu.n din gin gin ke i.ntazaar, aajaa piyaa aaye bahaar) -2
(ek do tiin, chaar paa.Nch chhai saat aaTh nau, das gyaarah bArah terah) - 2,

## (god! i am losing count here : ) ##

ikkiis biitii, baais gaI
teIs guzarii, chaubiis gaI
pachchis ko samajhaayaa sabane mujhe
## (some "chakki pees" comes here..) ##

din bane hafte, hafte mahIne, mahIne ban gaye saal
aake zaraa tU dekh to le kyA huA hai meraa haal
diivaanii dar dar mai.n phiratii huu.N
nA jiitii huu.N naa mai.n maratii huu.N
tanhaaI kii raate.n sahatii huu.N
aajaa aajaa aajaa ke din ginatii rahatii huu.N

(ek do tiin, chaar paa.Nch chhai saat aaTh nau, das gyaarah bArah terah) - 2,
(terA karuu.n, terA karuu.n din gin gin ke i.ntazaar, aajaa piyaa aayii bahaar) -2

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image