ek baar muskuraa do - - Jagmohan
- Movie: non-Film
- Singer(s): Jagmohan
- Music Director:
- Lyricist:
- Actors/Actresses:
- Year/Decade: unknown
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
ek baar muskuraa do -4
ho.nTho.n kii ek azaa se
ho.nTho.n kii ek azaa se sau bijaliyaa.N giraa do
ek baar ek baar
ek baar muskuraa do
is dil kaa haal sun ke meraa sawaal sun ke -2
aa.Nchal sambhaal ke tum sharmaa ke sar jhukaa do
ek baar ek baar
ek baar muskuraa do
haa.N naa ke biich me.n huu.N kyaa samajhuu.N kyaa na samajhuu.N -2
jo kah sako na mu.Nh se a.ndaaz se bataa do -2
ye nanhii.n nanhii.n kaliyaa.N -2
ye phuul aur ye kyaarii
halki sii ek ha.Nsii kii sabako hai i.ntazaarii
ghuu.NghaT haTaa ke haa.N
ghuu.NghaT haTaa ke inakaa aramaan bhii miTaa do
ek baar muskuraa do -2