e kyaa bolatii tuu ... aatii kyaa kha.nDaalaa
- Movie: Ghulaam
- Singer(s): Aamir Khan, Alka Yagnik
- Music Director: Jatin, Lalit
- Lyricist: Nitin Raikwar
- Actors/Actresses: Aamir Khan, Rani Mukherjee
- Year/Decade: 1998, 1990s
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image
e, kyaa bolatii tuu
ai, kyaa mai.n boluu.N
sun -
sunaa -
aatii kyaa kha.nDaalaa
kyaa karuu.N, aake mai.n kha.nDaalaa
ghuume.nge, phire.nge, naache.nge, gaaye.nge
aish kare.nge aur kyaa
ai, kyaa bolatii tuu ...
barasaat kaa siizan hai
kha.nDaalaa jaake kyaa karanaa
barasaat ke siizan me.n hii to, mazaa hai merii mainaa
bhiiguu.Ngii mai.n, sad.rii khaa.Nsii ho jaayegii mujhako
chaddar leke jaayen.ge, paagal samajhii kyaa mujhako
kyaa karuu.N, samajh me.n aaye na
kyaa kahuu.N, tujhase me.n jaanuu.N na
are itanaa tuu kyo.n soche, mai.n aage tuu piichhe
bas ab nikalate aur kyaa
ai, kyaa bolatii tuu ...
lonavalaa me.n chikkii khaaye.nge, #waterfall# pe jaaye.nge
kha.nDaalaa ke #guard# ke uupar, foTuu khii.nch ke aaye.nge
haa.N bhii karataa, na bhii karataa, dil meraa diivaanaa
dil bhii saalaa, #party# badale, kaisaa hai zamaanaa
#phone# lagaa, tuu apane dil ko zaraa
puuchh le, aakhir hai kyaa majaraa
are pal me.n phisalataa hai, pal me.n sambhalataa hai
#confuse# karataa hai bas kyaa
ai, kyaa bolatii tuu ...
Comments/Credits:
% Transliterator: K Vijay Kumar