duur bahut mat jaa_iye ... naazanii.n, ba.Daa ra.Ngii.n hai
- Movie: Phir Wohi Dil Laya Hoon
- Singer(s): Mohammad Rafi, Asha Bhonsle
- Music Director: O P Nayyar
- Lyricist: Majrooh Sultanpuri
- Actors/Actresses: Asha Parekh, Joy Mukherjee
- Year/Decade: 1963, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image
r: duur bahut mat jaa_iye, leke qaraar hamaaraa
aisaa na ho, koii luuT le, raah me.n pyaar hamaaraa
l: paas raho yaa duur tum, tum ho saath hamaare
de.nge gavaahii puuchh lo, ye Kaamosh nazaare
r: (naazanii.n ba.Daa ra.Ngii.n hai vaadaa teraa
o hasii.n, hai kidhar kaa iraadaa teraa) -2
aa.Nkh mu.Datii huii, zulf u.Datii huii
faasalaa kyo.n hai zyaadaa teraa
l: o hamadam mere, khel na jaano chaahat ke iqaraar ko
jaan-e-jahaa.N, yaad karoge, ik din mere pyaar ko
l: chhaaye ho, mere dil pe, nazar pe tumhii.n
aaj to, merii ulfat kaa kar lo yakii.n
e jii hamase tumhe.n ek lagaavaT to hai
tumhe.n hamase muhobbat nahii.n
r: (hamasafar, tuu hii meraa hai lekin sanam
saath me.n, hai.n kisii ajanabii ke kadam) -2
merii ulajhan yuu.Nhii besabab to nahii.n
dil kii betaabiyo.n kii kasam, o
l: hamadam mere, khel na jaano, chaahat ke iqaraar ko
jaan-e-jahaa.N, yaad karoge, ik din mere pyaar ko
Comments/Credits:
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Thu Aug 17, 1995 % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)