duur bahut aabaadii se, ishq kii ra.ngii.n vaadii se
- Movie: Jhoola
- Singer(s): Lata Mangeshkar, Mukesh
- Music Director: Salil Choudhary
- Lyricist: Rajinder Krishan
- Actors/Actresses: Pran, Sunil Dutt, Vyjayantimala, Rajendra Nath, Sulochna, Achala Sachdev
- Year/Decade: 1962, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
la : aa haa aa
mu : ( duur bahut aabaadii se, ishq kii ra.ngii.n vaadii se
ye kaun sadaa detaa hai
la : pyaar bharaa ik dil hogaa, yaa ko_ii bismil hogaa
jo apanaa pataa detaa hai ) -2
la : aa haa aa
mu : laharaatii sii ye raahe.n, na jaane kisako chaahe.n -2
la : kisake diidaar kii pyaasii, hai.n inakii khulii nigaahe.n -2
aas lagaaye baiThe rahanaa bhii to mazaa detaa hai
mu : duur bahut aabaadii se, ishq kii ra.ngii.n vaadii se
ye kaun sadaa detaa hai
la : pyaar bharaa ik dil hogaa, yaa ko_ii bismil hogaa
jo apanaa pataa detaa hai
la : aa haa aa
mu : ye parabat uu.Nche-uu.Nche, Kaamoshii ke afasaane -2
la : kyuu.N duur kha.De bastii se, ho.nge ye bhii diiwaane -2
jaane kis-kis ko diiwaanaa pyaar banaa detaa hai
mu : duur bahut aabaadii se, ishq kii ra.ngii.n vaadii se
ye kaun sadaa detaa hai
la : pyaar bharaa ik dil hogaa, yaa ko_ii bismil hogaa
jo apanaa pataa detaa hai
Comments/Credits:
% Song Courtesy: http://hindi-movies-songs.com/