duniyaa ke saath chal pyaare
- Movie: Pocketmaar
- Singer(s): Geeta Dutt, Chorus
- Music Director: Madan Mohan
- Lyricist: Rajinder Krishan
- Actors/Actresses: Nadira, Dev Anand, Geeta Bali, Meenu Mumtaz, Sundar, Gop
- Year/Decade: 1956, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,

gii: duniyaa ke saath chal pyaare
aise na haath mal pyaare
do din bahaar, ha.Ns kar guzaar
hai ye riit aaj kal pyaare
duniyaa ke saath chal pyaare
aise na haath mal pyaare
ko:
gii: ( jab tak jawaan ye dil hai
duniyaa hasiin mahafil hai
mastii me.n Duub kar jii le
har saa.Ns terii ma.nzil hai ) -2
kyaa aitabaar phir ye bahaar
aaye naa aaye kal pyaare
duniyaa ke saath chal pyaare
aise na haath mal pyaare
ko:
gii: ( tho.Dii hai.n chaa.Ndanii raate.n
ho mat soch hosh kii baate.n
Kushiyo.n kii dhuup ke piichhe
Gam kii lagii hai.n barasaate.n ) -2
saare usuul bilakul fazuul
tuu ga.Nvaa naa ek pal pyaare
duniyaa ke saath chal pyaare
aise na haath mal pyaare
do din bahaar, ha.Ns kar guzaar
hai ye riit aaj kal pyaare
duniyaa ke saath chal pyaare
aise na haath mal pyaare
aa
ko:
