din hai suhaanaa aaj pahalii taariikh hai
- Movie: Pahli Tarikh
- Singer(s): Kishore Kumar
- Music Director: Sudhir Phadke
- Lyricist: Qamar Jalalabadi
- Actors/Actresses:
- Year/Decade: 1954, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image
din hai suhaanaa aaj pahalii taariikh hai - 2
khush hai zamaanaa aaj pahalii taariikh hai
pahalii taariikh ajii pahalii taariikh hai
bIvii bolii ghar zaraa jal_dii se aanaa, jal_dii se aanaa
shaam ko piyaajii hame.n sinemaa dikhaanaa, hame.n sinemaa dikhaanaa
karo naa bahaanaa haa.N bahaanaa bahaanaa
karo naa bahaanaa aaj pahalii taariikh hai
khush hai zamaanaa aaj pahalii taariikh hai
pahalii taariikh ajii pahalii taariikh hai
kis ne pukaaraa ruk gayaa baabuu
laalaajii kii jaa.N aaj aayaa hai kaabU aayaa hai kaabU
o paisaa zaraa laanaa laanaa laanaa
o paisaa zaraa laanaa aaj pahalii taariikh hai
khush hai zamaanaa aaj pahalii taariikh hai
pahalii taariikh ajii pahalii taariikh hai
ba.ndaa bekaar hai qisamat kii maar hai
sab din ek hai roz-e-aitabaar hai
mujhe naa sunaanaa haa.N sunaanaa sunaanaa
mujhe naa sunaanaa aaj pahalii taariikh hai
khush hai zamaanaa aaj pahalii taariikh hai
pahalii taariikh ajii pahalii taariikh hai
daftar ke saamane aae mehamaan hai.n
ba.De hii shariif hai.n puraane meharabaan hai.n - 2
are jeb ko bachaanaa bachaanaa bachaanaa
jeb ko bachaanaa aaj pahalii taariikh hai
khush hai zamaanaa aaj pahalii taariikh hai
pahalii taariikh ajii pahalii taariikh hai
dil beqaraar hai soe nahii.n raat se
seThajii ko Gam hai ki paiso chalo haath se
are luuTegaa khazaanaa khazaanaa khazaanaa
luuTegaa khazaanaa aaj pahali taariikh hai
khush hai zamaanaa aaj pahalii taariikh hai
pahalii taariikh ajii pahalii taariikh hai
ai sinemaavaalo.n aao aao khel mazedaar hai
o khel mazedaar hai jii khel mazedaar hai
aagaa hai bhagavaan hai kishor kumaar hai
nimmi giitaa baalii hai ashok kumaar hai
naragiis raaj kapuur hai diliip kumaar hai
giito.n kaa tuufaan hai naach kii bahaar hai, naach ki bahaar hai
paa.nch aane kaa das aanaa - 3
are vaapas nahii.n jaanaa jaanaa jaanaa
vaapas nahii.n jaanaa aaj pahali taariikh hai
khush hai zamaanaa aaj pahalii taariikh hai
pahalii taariikh ajii pahalii taariikh hai
milajul ke bachcho.n ne baapU ko gheraa, baapU ko gheraa
kahate hai.n saare kii baapU hai meraa, baapU hai meraa
khilaune zaraa laanaa, khilaune zalaa laanaa aaj pahalI taariikh hai
khush hai zamaanaa ... pahalii taariikh ...
din hai suhaanaa aaj pahalii taariikh hai
khush hai zamaanaa aaj pahalii taariikh hai
pahalii taariikh ajii pahalii taariikh hai
Comments/Credits:
% Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % Dinesh K. Prabhu (prabhu@amelia.nas.nasa.gov) % Rajan P. Parrikar (parrikar@mimicad.Colorado.EDU) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)