Browse songs by

dil to hai dil dil kaa aitabaar kyaa kiije

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

dil to hai dil, dil kaa aitabaar, kyaa kiijai - (2)
aa gayaa jo, kisii pe pyaar, kyaa kiijai - (2)
dil to hai dil, dil kaa aitabaar, kyaa kiijai

yaado.n me.n terii khoI, raato.n ko mai.n naa soii
haalat ye mere mana kii, jaane naa jaane koI
baraso.n hii tarasii aa.Nkhe.n, jaagii hai pyaasii raate.n
aaI hai.n aate aate hoTho.n pe dil kii baate.n
pyaar me.n tere, dil kaa meraa kuchh bhii ho a.njaam
beqaraarii, me.n hai iqaraar, kyaa kiijai
aa gayaa jo, kisii pe pyaar, kyaa kiijai - (2)

% this para looks strange....!
chhaayaa hai man pe mere madahosh rahanaa teraa
mere hii tanako milaa terii baaho kaa feraa
duurii sahii na jaaye, chain kahii.n naa aaye
chalanaa hai ab to terii palako ke chhaaye chhaaye
bas naa chale re kaam savere leke teraa naam

dil dha.Dakataa hai baar baar kyaa kiijai
aa gayaa jo, kisii pe pyaar, kyaa kiijai - (2)
dil to hai dil, dil kaa aitabaar, kyaa kiijai

Comments/Credits:

			 %          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image