Browse songs by

dil milaa aur Gam shanaash milaa - - Ghulam Ali

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

dil milaa aur Gam shanaash milaa
phuul ko aag kaa libaas milaa

har shanaawar bha.Nwar me.n Duubaa thaa
jo sitaaraa milaa udaas milaa

mayakade ke sivaa hamaaraa pataa
unakii zulfo.n ke aas paas milaa

aab-e-haivaa.N kii dhuum thii 'saaGar'
saadaa paanii kaa ik gilaas mlaa

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image