Browse songs by

dil kii tamannaa thii mastii me.n

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ra: dil kii tamannaa thii mastii me.n ma.nzil se bhii duur nikalate
apanaa bhii koii saathii hotaa, ham bhii bahakate chalate-chalate

aa: hote kahii.n ham aur tum, khvaabo.n kii ra.Ngiin vaadii me.n gum -2
ra: phir un khvaabo.n kii vaadii se, uThate aa.Nkhe.n malate-malate

ra: ha.Nsatii zamii.n, gaate kadam, chalate nazaare, chalate jo ham -2
aa: rukate ham to ruk-ruk jaataa, Dhalataa suuraj Dhalate-Dhalate

% Part 2

dil kI tamannA thI mastI me.n ma.nzil se bhI dUr nikalate
apanA bhI koI sAthI hotA, ham bhI bahakate chalate-chalate

sAthI milA, yU.N to magar, raste me.n thA chA.NdI kA nagar -2
chA.NdI kI nagarI bhAI use ham, rah ga_e A.Nkhe.n malate-malate

yAdo.n kI dhUl A.Nkho.n me.n hai, dAman kI hasarat hAtho.n me.n hai -2
khvAbo.n ke vIrAne me.n tanhA, thak gayA rAhI chalate-chalate

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
% Date: Sun Oct 22, 1995
% Credits: Ashok Dhareshwar (adhareshwar@worldbank.org)
% Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image