Browse songs by

dil ke jharokhe me.n tujhako biThaakar

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

% The next song is from the movie "Brahmachari". Shammi runs a home for
% orphans where he homes a lot of children. Rajshri takes shelter there
% and also helps Shammi (sort of like "Mr. India" storyline? ;). It was
% quite a popular movie of Shammi with some nice songs like, 'aaj kal
% tere mere pyar ke charche' and 'main gavun tum so jao'.
% Here is 'Dil ke jaroke mein..' by Rafi. The stanzas are
% sung at a high pitch by Rafi.

% surkh: red
% tasawwur: imagination
% shikwah: complaint/chiding
% rukhsat: leave/permission/dismissal/indulgence
% bye
% satish

dil ke jharokhe me.n tujhako biThaakar
yaado.n ko terii mai.n dulhan banaakar
rakhuu.Ngaa mai.n dil ke paas, mat ho merii jaa.N udaas

kal tere jalave paraaye bhii ho.nge,
lekin jhalak mere khvaabo.n me.n ho.nge
phUlo.n kii Dolii me.n hogii tU rukhasat,
lekin mahak merii saa.nso.n me.n hogii
dil ke jharokhe me.n ...

ab bhii tere surkh hoTho.n ke pyaale,
mere tasavvur me.n saaqii bane hai.n
ab bhii terii zulf ke mast saaye,
birahaa kii dhuup me.n saathii bane hai.n
dil ke jharokhe me.n ...

merii muhabbat ko Thukaraa de chaahe,
mai.n koI tujhase naa shikavaa karu.ngaa
aa.Nkho.n me.n rahatii hai.n tasviir terii,
saarii umar terii puujaa karu.ngaa
dil ke jharokhe me.n ...

Comments/Credits:

			 % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) 
%          Satish Subramanian (subraman@myria.cs.umn.edu)
%          C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image