Browse songs by

dil kaa nazaraanaa le, o diladaar le

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ki : dil kaa nazaraanaa le, o diladaar le
ye sachchaa pyaar hai, meraa pyaar le
dil kaa nazaraanaa le ...

aa : dil kii nishaanii le, mere yaar le
ye sachchaa pyaar hai, meraa pyaar le
dil kii nishaanii le ...

ki : aasamaan to nahii.n jo badal jaa_uu.Ngaa
pyaar kaa ra.ng kachchaa nahii.n
aa : mai.n ne dekhe yahaa.N pe hazaaro.n sanam
baat kaa koii sachchaa nahii.n
ki : haa.N, ham to vo nahii.n, kar lo yakii.n merii vafaa_o.n kaa
ye sachchaa pyaar hai, meraa pyaar le
aa : ye sachchaa pyaar hai meraa pyaar le ...

ki : ham gale milake aao ye vaadaa kare.n
zi.ndagii bhar na ho.nge judaa
aa : ab tumhii.n sab kuchh ho hamaare liye
jaan-o-dil se ham tumape fidaa
ki : o sanam, mai.n huu.N pavan, tuu hai chaman merii muhabbat kaa
ye sachchaa pyaar hai meraa pyaar le
aa : ye sachchaa pyaar hai meraa pyaar le
ki : dil kaa nazaraanaa le o diladaar le
aa : dil kii nishaanii le o diladaar le
do : ye sachchaa pyaar hai meraa pyaar le

Comments/Credits:

			 % Transliterator: K Vijay Kumar
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image