Browse songs by

dil kaa lagaanaa khel na jaano dil kaa lagaanaa mushkil hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

dil kaa lagaanaa khel na jaano dil kaa lagaanaa mushkil hai
jis par dil aa jaaye usako dil se bhulaanaa mushkil hai

dil diiwaanaa jaane kisakaa rastaa takataa rahataa hai
wo to shaayad thaa usakaa lauT ke aanaa mushkil hai

paas thaa jab wo tanhaa_ii bhii aksar achchhii lagatii thii
bichha.D gaye to yuu.N lagataa hai usako bhulaanaa mushkil hai

Gazalo.n se giito.n se sabako bahalaanaa to aasaa.N hai
ha.Ns ha.Ns kar lekin mahafil me.n dard ko gaanaa mushkil hai

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image