dil beqaraar saa hai
- Movie: Ishara
- Singer(s): Mohammad Rafi
- Music Director: Kalyanji, Anandji
- Lyricist: Majrooh Sultanpuri
- Actors/Actresses: Joy Mukherjee, Vyjayantimala
- Year/Decade: 1964, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
dil beqaraar saa hai, mujh ko Kumaar saa hai
jab se tujhe dekhaa sanam
haay! dil beqaraar saa hai ...
mausam nashe me.n chuur hai
kuchh pii ke aayii hai ghaTaa
bas kuchh na puuchho aaj kyaa
paiGaam laayii hai ghaTaa
ab mai.n ne jaanaa pyaar kyaa hai terii zulfo.n kii qasam
dil beqaraar saa hai ...
haatho.n me.n aa.Nchal thaam ke
vo mu.Nh chhupaane kii adaa
diivaanaa kar degaa hame.n
vo muskuraane kii adaa
ab mai.n new jaanaa pyaar kyaa hai terii ho.nTho.n kii qasam
dil beqaraar saa hai ...
Comments/Credits:
% Transliterator: K Vijay Kumar